Vodafone ke Khilaaf Indian Government ka Appeal | Retrospective Tax case me Naya twist
#vodafone #Ideavoda #vodafoneretrospective #vodafonetaxcase #hutch #govappeal #retrospectivetax #telecom
Indian government ne Vodafone ke khilaaf Singapore ke court of Arbitration me fir se ek appeal kiya hai jisme usne hague court me, september 2020 me diye gaye verdict ke khilaaf appeal kiya hai. September me kya hua tha? Basically ye mamla tab shuru hua tha jab 2007 se Vodafone ne India me Hutchinson Mobile, jo us zamane me Hutch ke naam se jaana jaata tha, usko khareed liya tha. Indian government ka kehna tha ke Vodafone ne company acquisition ke time pe tax payment ko avoid kiya tha aur iusiliye sarkar ne court me case bhi kiya tha. 2012 me Indian Supreme court ne Vodafone ke favor me jab decision diya to fir 2012 ke end me hi sarkar ne apna retrospectove taxation related rule ko change kiya aur firse case ko pursue kiya aur vodafone ko lagbhag 12000 Crore rupees interest aur 7900 Crore penalty dene ka notice diya. Lekin is case me bhi indian Government ko bahut zyada success nahi mila. Vodafone ne apne netherlands arm ke zariye International Tribunal jo hague me established hai, waha par case file kiya aur unhone case ko alag tareeke se treat kiya.
https://youtu.be/ij6jcvidbPI
No comments:
Post a Comment