"Adani group ne kyun band kiya 34,900
Crore ka Project Band?"
Link : https://youtu.be/6TeW89aMVUY
Adani group ko lagatar
losses ka saamna karna pad raha hai, ab jab unke shares din-ba-din gir rahe
hai..Pichle mahine, Adani group ka market cap apne peak level se kuch 71% gir
chuka tha…Thoda bohut recovery zaroor kia hai iss mahine, lekin phir bhi situation
kaafi gambhir hai…Waise toh India ka yeh biggest business conglomerate dikha
toh raha hai ki sab kuch manage ho raha hai, aur hum kar rahein hain…lekin ek
ke baad ek news jo aa raha ha, woh kissi red alert se kam nahi….
Toh kya Adani Group apna 34,900 crore ka Green
PVC project sach mai suspend karne jaa raha hai?
News report ke hisaab
se Adani ne philal ke liye apna 1 million tonne per annum Green PVC project
side mai karne ka socha hai aur isliye group ne already apne sabhi supplier aur
vendor ko mail bhi bhej diya hai ki, woh jald se jald sabhi activity band kar
dein.
Yeh report ke aate hi
as expected Adani ke shares girne lage … jiske baad group ne clarify kia ki,
yeh project ke financial closures, financial institutions ke paas pending
hain….
Ab yeh project ki file
waahan se successful hogi ya nahi hogi kuch pata nahi, lekin Adani Group ka
kehna hai ki woh kaafi hopeful hai ki agle 6 mahino mai iss project ka closure
unhe mil jayega…jiske baad woh pure zor shor mai construction ka kaam shuru kar
denge…
Hindenburg ke Report ke baad, Adani ko ab aaya
funding issues
Funding delay ke
wajahse se iss petrochemical project ko stall kar dia gaya…Waise toh Adani
group hamesha se hi kehti aayi hai ki hamare balance sheet strong hai, lekin ab
lag raha hai ki Adani group ko aage jaake financial crisis ka saamna pad sakta
hai…jiske wajah se ripple effect bhi create ho sakta hai, aur business ke saath
saath aur bhi kaafi cheezein effect ho sakti hain jsaise ki share prices….
Besides, Adani group ab
financial institutions ke bharose baithe hain..Lekin, abhi toh hum sab jaante
hain ki kaise financial institutions across the globe khud hi crisis ke toofan
se guzar rahein hain…Ek hafte mai US ke do top bank band ho gaye - SVB aur
Signature Bank. Iske alawa SWitzerland ka 166 year old second largest bank
Credit Suisse ko bhi apna shutter band karna pada… Aise mahool mai jab sabhi
financial institutions apne aapko safe rakhne ke koshish mai hai, yeh kehna
mushkil hai ki Adani ko unka required amount milega bhi ya nahi…
Waise toh Adani ne
hamesha hi Hindenburg ke allegations ko deny kia hai, lekin agar aage jaake
kuch bhi issue aaya toh naa sirf Adani Group balki woh financial institution
bhi phasegi jo inhe funding karegi, aur agar aisa hua..toh worldwide economy ko
iska after-effect dekhna padega…jo acha drishya bilkul bhi nahi hoga
Recent events ko dekhte
huye itna toh andaza lagaya jaa sakta hai ki koi bhi badda business empire ho
ya financial institutions, andar hi andar kitna khokla ho raha hai kaha nahi
jaa sakta… jab tak ki pura picture clear naa ho..
Kisse pata tha woh SVB
Bank jo ‘proud to be on Forbes America’s best bank tweet kar raha tha, woh itna
buri tarah liquidity crisis mai tha. Kisse pata tha ki ek hi din mai US ka 16th
largest bank bank run waale situation mai aakar band hi ho jayega, ya phir
scandal, corruption, scantion breaches aur past misconduct, 166 year old bank
ko hi khatam kar dega….
Isliye agar aap retail
investor hain aur aap baade business ma,i ya badde banks mai invest karna
chahte hain, toh bohut zaroori hai ki aap unko puri tarah se analysis karne ke
baad hi invest karein…current situation worldwide kaafi ‘dicey’ chal raha hai,
aur aise mai apne aapko financially bacha ke rakhne mai hi samajhdaari hai, fir
chahe uske liye time-being worst-case scenario hi kyun na sochna pade…
No comments:
Post a Comment